har shaḳhs is hujūm meñ tanhā dikhā.ī de
duniyā bhī ik ajiib tamāshā dikhā.ī de
ik umr qat-e-vādī-e-shab meñ guzar ga.ī
ab to kahīñ sahar kā ujālā dikhā.ī de
ai mauja-e-sarāb-e-tamannā sitam na kar
sahrā hī sāmne hai to sahrā dikhā.ī de
maiñ bhī chalā to pyaas bujhāne ko thā magar
sāhil ko dekhtā huuñ ki pyāsā dikhā.ī de
alfāz ḳhatm hoñ to mile rishta-e-ḳhayāl
ye gard baiTh jaa.e to rasta dikhā.ī de
kaun apnā aks dekh ke hairāñ palaT gayā
chehra ye mauj mauj meñ kis kā dikhā.ī de
tū munkir-e-vafā hai tujhe kyā dikhā.ūñ dil
ġham sho.ala-e-nihāñ hai bhalā kyā dikhā.ī de
har shab dar-e-ḳhayāl pe Thahre vo ek chaap
har shab fasīl-e-dil pe vo chehra dikhā.ī de
lab-bastagī se aur khile ġhuncha-e-sadā
vo chup rahe to aur bhī goyā dikhā.ī de
'aslam' ġharīb-e-shahr-e-suḳhan hai kabhī mileñ
kahte haiñ aadmī to bhalā sā dikhā.ī de