Aslam Ansari

bujhi hai aatish-e-rang-e-bahaar aahista aahista

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
bujhī hai ātish-e-rañg-e-bahār āhista āhista
gire haiñ shola-e-gul se sharār āhista āhista
vo ik qatra ki barg-e-dil pe shabnam sā laraztā thā
huā hai bahr-e-nā-paidā-kanār āhista āhista
kabhī shor-e-qayāmat gosh-e-inshāñ tak bhī pahuñchegā
koī sayyāra badlegā madār āhista āhista
uḌā hai rafta rafta rañg tasvīr-e-mohabbat kā
huī hai rasm-e-ulfat be-viqār āhista āhista
sarāb-e-ārzū meñ phir koī manzar bhī chamkegā
uThegī dasht se mauj-e-ġhubār āhista āhista
bahut din tak salāsil kī sadā aa.ī hai zindāñ se
milā hai be-qarāroñ ko qarār āhista āhista
vo sab arbāb-e-jazb-o-shauq jin par naaz thā ham ko
hue haiñ hosh-mandī ke shikār āhista āhista
kabhī malhūz ham ko bhī suḳhan meñ rabt-e-ma.anī thā
huā hai zahr-e-ġham āshufta-kār āhista āhista
kahīñ yaaro tumheñ phir gahrī yāsiyyat na chhū jaa.e
raho rāh-e-talab meñ mahv-e-kār āhista āhista
Top Urdushayar.com