Aslam Ansari

ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
ab aur chalne kā is dil meñ hausla hī na thā
ki shahr-e-shab meñ ujāle kā shā.iba hī na thā
maiñ us galī meñ gayā le ke zo.am-e-rusvā.ī
magar mujhe to vahāñ koī jāntā hī na thā
gudāz-e-jāñ se liyā maiñ ne phir ġhazal kā surāġh
ki ye charāġh to jaise kabhī bujhā hī na thā
koī pukāre kisī ko to ḳhud hī kho jaa.e
huā to hai magar aisā kabhī sunā hī na thā
kise kaheñ ki rifāqat kā daaġh hai dil par
bichhaḌne vaalā to khul kar kabhī milā hī na thā
musāfiroñ ko ka.ī vāhime satāte haiñ
Thaharte kyā ki darīchoñ meñ to diyā hī na thā
damak uThā thā vo chehra hayā kī chādar meñ
ki jaise jurm-e-vafā us kā mudda.ā hī na thā
hamāre haath faqat ret ke sadaf aa.e
ki sāhiloñ pe sitāra koī rahā hī na thā
Top Urdushayar.com