ġhubār-e-ehsās-o-pesh-o-pas kī agar ye bārīk tah haTā.eñ
to ek pal meñ na jaane kitne zamānoñ ke aks thartharā.eñ
ḳhizāñ agar apnā ḳhuuñ na baḳhshe to fasl-e-gul kaise surḳh-rū ho
sukūt apnā jigar na chīre to kaise jhankār deñ sadā.eñ
bikhar chale haiñ bikhar chuke haiñ gul-e-ibārat ke barg-reze
kitāb-e-jāñ kī shahādatoñ kā varaq varaq le ga.iiñ havā.eñ
huā kī be-rañg taḳhtiyoñ par sadā kī tahrīr kyā ubhāreñ
sukūt ke be-nishāñ khañDar meñ charāġh-e-āvāz kyā jalā.eñ
ye shauq kī be-nasīb kaliyāñ ye dard ke be-ḳhizāñ shagūfe
tumhāre qadmoñ meñ rakh na paa.e to kis kī chaukhaT pe jā girā.eñ
havā kī talvār chal rahī ho to shāḳh-e-ummīd kyā sambhāleñ
badan kī dīvār gir rahī ho to dil kī dīvār kyā bachā.eñ
tamāshā-gāh-e-tarab-nishāñ meñ sabhī ko lāzim hai muskurānā
jo ġham-faroshī na karnā chāheñ vahī yahāñ baḳht āzmā.eñ
muhīb rātoñ meñ Dagmagāte dukhī badan ke musāfiroñ ko
akele-pan meñ Darā rahī hai samay ke jañgal kī saa.eñ saa.eñ
tamām alfāz mar chuke haiñ tamām ahbāb jā chuke haiñ
ga.ī rutoñ ke sitam kā qissa sunā.eñ kaise kise sunā.eñ