Aslam Ansari

laraz laraz ke dil-e-na-tawan Thahar hi na jae

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
laraz laraz ke dil-e-nā-tavāñ Thahar hī na jaa.e
firāq-e-sāz kahīñ rūh-e-naġhma mar hī na jaa.e
utaar le kisī shīshe meñ sā.at-e-naġhma
sadā-e-qāfila-e-gul kahīñ bikhar hī na jaa.e
sunā bhī de kisī gul ko fusūn-e-tanhā.ī
rah-e-ḳhayāl se ye kārvāñ guzar hī na jaa.e
hai ek qulzum-e-ḳhūñ qarya-e-junūñ se udhar
yahāñ jo aa.e koī us kī phir ḳhabar hī na jaa.e
kisī ko mohlat-e-hastī bhī de ġham-e-jānāñ
ye kyā ki aa.e koī to palaT ke ghar hī na jaa.e
vo ḳhush-mizāj hai us ko alam se kyā nisbat
sunā na ishq kā ġham, ishq se vo Dar hī na jaa.e
nigāh-e-yār, ġham-e-jāñ-gusil kā kyā hogā
tire karam se nasīb-e-vafā sañvar hī na jaa.e
bahā de aaj kuchh aañsū ki phir ġhanīmat haiñ
chaḌhā hai aaj jo dariyā vo kal utar hī na jaa.e
bajā ki jaañ se guzarnā bahut kaThin hai magar
tire nisār koī aisā kaam kar hī na jaa.e
Top Urdushayar.com