ain-mumkin hai kisī tarz-e-adā meñ aa.e
qissa-e-dard-e-vafā saut-o-sadā meñ aa.e
rut badalte hī na.e rañg ke manzar ubhre
kuchh parinde bhī na.ī mauj-e-havā meñ aa.e
ham to ā.īna-numā the hī safā-keshī meñ
naam kuchh aur bhī arbāb-e-safā meñ aa.e
ishq tā-hāl to matrūk nahīñ ho paayā
inqilābāt bhī go rāh-e-vafā meñ aa.e
kuchh gul-e-nīlofarī jhiil kī tārīkī se
apnī dānist meñ aqlīm-e-baqā meñ aa.e
kyā kaheñ us ko tazādāt-e-zamāna ke sivā
kitne darvesh the jo shāhī qabā meñ aa.e
ḳhvāb āñkhoñ meñ liye ham bhī ba-tā.īd-e-junūñ
kaise ik jalva-gah-e-ḳhvāb-numā meñ aa.e
shorish-e-ahd meñ ye tazkira-e-ishq-e-vafā
jaise naġhma sā koī bāñg-e-darā meñ aa.e
ḳhud ko gum kar ke kisī aur ke pā lene tak
marhale aur bhī takmīl-e-anā meñ aa.e