Aslam Ansari

kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
kār-e-ahl-e-vafā jehd-o-taslīm hai ham bhī taslīm meñ kyā ta.ammul kareñ
zaat ke dasht kitne hī darpesh haiñ kyā kareñge agar phir tasāhul kareñ
ai sarīr-e-qalam ai zamīr-e-jahāñ aap apnī zabāñ meñ jo likhnā ho likh
kitne ahvāl haiñ nā-navishta abhī kyā munāsib hai un se taġhāful kareñ
ham pareshān-o-āshufta logoñ meñ bhī ik zamāna huā ek dhīraj sā thā
ab to ham aise logoñ kī ḳhvāhish bhī hai kū-o-barzan meñ jā tā-ba-shab ġhul kareñ
mere alfāz meñ merā ḳhūn-e-jigar kaise kaise jhalaktā hai dekheñ kabhī
sāz-e-ishq-o-havas go ham-āhañg haiñ phir bhī ishq-o-havas meñ taqābul kareñ
ab to ahl-e-hunar ek hī rāsta aap aisoñ kī ḳhātir khulā hai abhī
har atā-e-zamāñ par tashakkur kareñ har jafā-e-jahāñ kā tahammul kareñ
kahnā sunñā bhī ik vaz-e-tahzīb hai kahne sunñe meñ naqs-e-marātib nahīñ
ik zarā chup raheñ ham bhī gulzār meñ pās-e-rasm-e-hikāyāt-e-bulbul kareñ
TūTtī haiñ ravāyāt-e-mīnā-o-mai kyā kareñge evaz meñ maqāmāt ke
ahl-e-tadbīr abhī vaqt-e-tadbīr hai aa.eñ aur ehtimām-e-tasalsul kareñ
vo jo arbāb-e-dānish haiñ un ke liye ik nisāb-e-amal sūjhtā hai mujhe
kyā haiñ vo aur kyā hai ye nazm-e-jahāñ kuchh tafakkur kareñ kuchh ta.ammul kareñ
Top Urdushayar.com