dars-e-ādāb-e-junūñ yaad dilāne vaale
aa ga.e phir mirī zanjīr hilāne vaale
kis tarah kho.e ga.e aks-e-ravāñ kī sūrat
shahr-e-hairāñ meñ tirā khoj lagāne vaale
ġhaur se dekh koī hai pas-e-tasvīr-e-ḳhizāñ
varna kis samt ga.e rañg jamāne vaale
ḳham-e-mehrāb pe sadiyoñ kī siyah gard bhī dekh
tāq-e-vīrāñ meñ lahū apnā jalāne vaale
zahr ab zahr hai kartā nahīñ kār-e-tiryāk
mar ga.e zahar ko tiryāk banāne vaale
fasl-e-be-barg kuchh aisī bhī to be-rañg nahīñ
dāstāñ ahd-e-bahārāñ kī sunāne vaale
daf-e-gul TuuT ga.ī dast-e-sabā meñ lekin
raqs karte hī rahe vajd meñ aane vaale
bujh ga.e shoḳh darīchoñ meñ damakte mahtāb
so ga.e raat kī taqdīr jagāne vaale
sochtā huuñ ki ye māmūra-e-ġham ye duniyā
kis liye tū ne banā.ī hai banāne vaale