sāmne aao ki maiñ chehra-e-zebā dekhūñ
aur is ā.īne meñ aks phir apnā dekhūñ
tum hī manzil ho tum hī gauhar-e-maqsūd mirā
dekh kar tum ko maiñ kyā aur tamāshā dekhūñ
tum hī batlāo ki is kār-gah-e-hastī meñ
kyā na dekhūñ maiñ agar dekhūñ to kyā kyā dekhūñ
tujh ko ye naaz koī pā na sakegā hargiz
mujh ko ye zid ki tirā naqsh-e-kaf-e-pā dekhūñ
tū ne chāhā to bahut gardish-e-ayyām ki maiñ
ḳhud tamāshā banūñ apnā hī tamāshā dekhūñ
kaash is ziist meñ vo vaqt bhī aa.e 'mahbūb'
chaar sū dahr meñ īmāñ kā ujālā dekhūñ