dil ye kahtā hai ki ik ālam-e-muztar dekhūñ
bārish-e-sañg meñ logoñ ko khule sar dekhūñ
phir vo muusī kā asā niil kā shaq ho jaanā
fauj fir.aun kā maiñ Dūbtā manzar dekhūñ
aa.ine toḌ ke dauḌūñ maiñ kisī jañgal ko
apnī sūrat ko kisī jhiil ke andar dekhūñ
merā sab le lo mujhe ek mohabbat de do
shahr meñ aisī bhī āvāz lagā kar dekhūñ
jāntā huuñ ki chhupā hai vo kahīñ siine meñ
kaash is dard kī sūrat ko maiñ bāhar dekhūñ
us ne ik roz mohabbat se bulāyā thā mujhe
maiñ to har roz use apne barābar dekhūñ
duur tak ek hī manzar hai makānoñ kā 'zahīr'
kis taraf jā.ūñ maiñ kis or mirā ghar dekhūñ