na āsmāñ kī kahānī na vaañ kā qissa likh
uThā davāt o qalam aadmī kā chehra likh
hazār shor sameTe hue hai merā vajūd
mire vajūd ke sahrā ko chashm-e-dariyā likh
binā-e-mausam-e-ġham-hā-e-zāt hai duniyā
ise tū rashk-e-iram likh ki shāḳh-e-tūbā likh
vo nuur phailā vo phūTī koī kiran taaza
tamām umr añdherā hī thā na aisā likh
jo maut pī gayā ik jām-e-ambagīñ kī tarah
use tū maut kī manzil kā ik masīhā likh
vo ajnabī to zarā ajnabī nahīñ lagtā
use to ġhair na kah koī hai vo apnā likh
bichhaḌ gayā hai to kyā saath bhī to thā barsoñ
'zahīr' ruuh o badan kā use tū rishta likh