mire mazār pe aa kar diye jalā.egā
vo mere ba.ad mirī zindagī meñ aa.egā
yahāñ kī baat alag hai jahān-e-dīgar se
maiñ kaise ā.ūñgā mujh ko agar bulā.egā
mujhe hañsī bhī mire haal par nahīñ aatī
vo ḳhud bhī ro.egā auroñ ko bhī rulā.egā
bichhaḌ ke is ko ga.e aaj tīsrā din hai
agar vo aaj na aayā to phir na aa.egā
faqīh-e-shahr ke baare merī raa.e thī
gunāhgār hai patthar nahīñ uThā.egā
isī tarah dar-o-dīvār tañg hote rahe
to koī apne liye ghar nahīñ bānegā
hamāre ba.ad ye dār-o-rasan nahīñ hoñge
hamāre ba.ad koī sar nahīñ uThā.egā