hañsī meñ Taal to detā huuñ aksar
magar maiñ ḳhush nahīñ barbād ho kar
koī martā nahīñ zabt-e-fuġhāñ se
zarā sā daaġh paḌ jaatā hai dil par
likhī hai reg-e-sāhil par jo maiñ ne
vo chiTThī paḌh nahīñ saktā samundar
jahāñ ham haiñ vahāñ sab dā.ere haiñ
kisī kā koī markaz hai na mehvar
mujhe jaanā hai vāpas bādaloñ meñ
nahīñ honā mujhe qatre se gauhar
mujhe kuchh der ruknā chāhiye thā
vo shāyad dekh hī letā palaT kar