koī tohmat ho mire naam chalī aatī hai
jaise bāzār meñ har ghar se galī aatī hai
tirī yaad aatī hai ab koī kahānī ban kar
yā kisī nazm ke sāñche meñ Dhalī aatī hai
ab bhī pahle kī tarah pesh-rav-e-rañg-o-sadā
ek muñh-band sī be-rañg kalī aatī hai
chal ke dekheñ to sahī kaun hai ye duḳhtar-e-raz
roz-e-avval se jo bad-nām chalī aatī hai
ye mire karb kā aalam rahe yārab ābād
is zamīñ se bū-e-aulād-e-'alī' aatī hai