ghar meñ miTTī kā diyā maujūd hai
raushnī se rābta maujūd hai
chāhiye bīnā.ī sunñe ke liye
ba.az rañgoñ meñ sadā maujūd hai
kab se uḌtā hai ġhubāra arz kā
is meñ ab kitnī havā maujūd hai
go bahut mahdūd hai jins-e-vafā
phir bhī mere bevafā! maujūd hai
umr bhar jañgal meñ rah saktā huuñ maiñ
is meñ ghar jaisī fazā maujūd hai
zikr-e-gumrāhī kahāñ se aa gayā
rāsta hī kaun sā maujūd hai
nā-ḳhudā be-ḳhauf ab lañgar uThā
naav meñ ik bā-ḳhudā maujūd hai