āzār mire dil kā dil-āzār na ho jaa.e
jo karb nihāñ hai vo numūdār na ho jaa.e
āvāz bhī detī hai ki uTh jaag mere la.al
Dartī bhī hai bachcha kahīñ bedār na ho jaa.e
jab tak maiñ pahuñchtā huuñ kaḌī dhuup meñ chal kar
dīvār kā saaya pas-e-dīvār na ho jaa.e
parda na sarak jaa.e kahīñ ai dil-e-betāb
vo parda-nashīñ aur pur-asrār na ho jaa.e
baḌhtā chalā jaatā hai zamāne se ta.alluq
ye silsila zanjīr-e-girāñ-bār na ho jaa.e
ārām se rahtā hī nahīñ banda-e-be-dām
jab tak kisī mushkil meñ giraftār na ho jaa.e