ham agar maare ga.e apnī javānī meñ kahīñ
naam likh denā mohabbat kī kahānī meñ kahīñ
kyoñ na is bhūle ko yaad aayā bhalā ghar kā patā
kuchh ḳhatā ham se huī yād-dahānī meñ kahīñ
kaun se des se niklā to huā pardesī
DhūñD purza kisī patlūn-e-purānī meñ kahīñ
des chhoḌā to har ik chiiz vahāñ chhoḌ aa.e
yuuñ bhī kartā hai koī naql-e-makānī meñ kahīñ
jin meñ mahfūz the yādoñ ke zaḳhīre mere
DhūñDhtā phirtā huuñ vo harf maiñ paanī meñ kahīñ
saare jazbe bhalā alfāz meñ aate kab haiñ
saarī bāteñ paḌhī jaatī haiñ ma.ānī meñ kahīñ
tez raftār 'rishī' pahle bhī thā par ab ke
kuchh ajab des vo pahuñchā hai ravānī meñ kahīñ