do-chār sitāre hī mirī aañkh meñ dhar jā
kuchh der to ai sā.at-e-shab mujh meñ Thahar jā
ab aur sambhālī nahīñ jaatī tirī hurmat
yuuñ kar ġham-e-jānāñ merī nazroñ se utar jā
tā-umr tirā naqsh-e-farozāñ rahe mujh meñ
ik zaḳhm kī sūrat mire māthe pe ubhar jā
chhoḌ aanā vahīñ par zarā āvāra-mizājī
sahrā kī taraf ai dil-e-nādān agar jā
yā ho jā tū dariyā kī nigāhoñ meñ tarāzū
yā tishna-labī saath liye jaañ se guzar jā
jab zehn ko sunñī hī nahīñ baat tumhārī
dil tū bhī rusūmāt-e-tāhum se mukar jā