kyā kahūñ kitnī aziyyat se nikālī ga.ī shab
haañ yahī shab ye mirī hijr banā lī ga.ī shab
pahle zulmat kā parastār banāyā gayā maiñ
aur phir merī nigāhoñ se uThā lī ga.ī shab
raat bhar fat.h vo kartī rahī ujiyāroñ ko
sub.h-dam apne añdheroñ se bhī ḳhālī ga.ī shab
tā sadā mujh meñ raheñ chāñd sitāre raushan
merī miTTī meñ tabī.at se milā lī ga.ī shab
ḳhatm hotā hī nahīñ silsila tanhā.ī kā
jaane kis darja masāfat meñ hai Dhālī ga.ī shab
fasl maqsūd thī 'sārim' hameñ sūraj kī jahāñ
haif hai un hī zamīnoñ pe ugā lī ga.ī shab