Arshad Jamal Sarim

nit-nae naqsh se baatin ko sajata hua main

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

nit-na.e naqsh se bātin ko sajātā huā maiñ
apne zāhir ke ḳhad-o-ḳhāl miTātā huā maiñ
lahza lahza ye fidā hotī huī mujh pe hayāt
aur har aan nazar us se churātā huā maiñ
jaane kis rut meñ khileñge yahāñ ta.abīr ke phuul
sochtā rahtā huuñ ab ḳhvāb ugātā huā maiñ
har ghaḌī baḌhtī huī tishna-labī ishq tirī!
dil ke riste hue zaḳhmoñ se bujhātā huā maiñ
roz hotā huā mujh meñ kisī ḳhvāhish kā janam
roz hī qabr na.ī ḳhud meñ banātā huā maiñ
rahrav-e-shauq! karo yuuñ! mire pīchhe aao
aao chaltā huuñ tumheñ raah dikhātā huā maiñ
ab kahāñ vaise haiñ idrāk ke lamhāt nasīb
yaad meñ kho ke tirī ḳhud ko vo paatā huā maiñ
aaj bhī yaad haiñ 'sārim' ko manāzir saare
har adā par vo tirī jaan se jaatā huā maiñ
Top Urdushayar.com