Arshad Jamal Sarim

fana hua to main tar-e-nafas mein lauT aaya

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

fanā huā to maiñ tār-e-nafas meñ lauT aayā
ḳhushā ki ishq tirī dastaras meñ lauT aayā
na jaane us ne khule āsmāñ meñ kyā dekhā
parinda phir se jahān-e-qafas meñ lauT aayā
kisī ke jabr meñ kitnā thā iḳhtiyār mujhe
burā kiyā ki jo maiñ apne bas meñ lauT aayā
ye hāshiye tire gumrāh kar rahe the mujhe
kitāb-e-zīst so maiñ tere nas meñ lauT aayā
vo dil-ḳharāsh thā ā.inda saal kā manzar
maiñ ulTe paañv guzishta baras meñ lauT aayā
Top Urdushayar.com