Arshad Jamal Sarim

kya kahun kitna fuzun hai tere diwane ka dukh

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

kyā kahūñ kitnā fuzūñ hai tere dīvāne kā dukh
ik taraf jaane kā ġham hai ik taraf aane kā dukh
hai ajab be-rañgī-e-ahvāl mujh meñ maujzan
ne hī jiine kī talab hai ne hī mar jaane kā dukh
toḌ Daalā thā sabhī ko dard ke āzār ne
sah na paayā thā koī kirdār afsāne kā dukh
ḳhuun ro uThtī haiñ sab āñkheñ nigār-e-sub.h kī
bāñTtī hai shab kabhī jo ā.īna-ḳhāne kā dukh
sham.a bhī to ho rahī hotī hai har pal rā.egāñ
kyuuñ faqat ham ko nazar aatā hai parvāne kā dukh
sar paTaktī thiiñ musalsal mauj-hā-e-tishnagī
hoñT ke sāhil pe ḳhema-zan thā paimāne kā dukh
loTtā hai jab bhī siine par shanāsā.ī kā saañp
lahr uThtā hai badan meñ ek anjāne kā dukh
vaar detā huuñ maiñ 'sārim' apnī sab ābādiyāñ
mujh se dekhā hī nahīñ jaatā hai vīrāne kā dukh
Top Urdushayar.com