bas ki ik lams kī ummīd pe vaare hue haiñ
so tire sāmne ye ḳhaak pasāre hue haiñ
jaane kab un ko bujhā baiThe koī bād-e-alam
sar-e-mizhgān-e-tamannā jo sitāre hue haiñ
zindagī tū bhī hameñ vaise hī ik roz guzār
jis tarah ham tujhe barsoñ se guzāre hue haiñ
nit-na.e naqsh kareñ us pe aziyyat ke raqam
aa ki ham taḳhtī-e-dil apnī pachāre hue haiñ
kab kuchal jaa.eñ kisī paañv se ham barg-e-vajūd
vaqt kī dhuup meñ vaise hī karāre hue haiñ
jānte haiñ ki tū hī ishq-badan ko hai libās
ham tirā ruup jo āshuftagī dhāre hue haiñ
apnī jur.at kī satā.ish ho ki ham chob-mizāj
rabt rakhte haiñ sadā un se jo aare hue haiñ