Arshad Jamal Sarim

palaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

palaT kar dekhne kā mujh meñ yaarā hī nahīñ thā
nahīñ aisā ki phir us ne pukārā hī nahīñ thā
samundar kī har ik shai par hamārī dastaras thī
ki tuġhyānī bhī apnī thī kināra hī nahīñ thā
vo ik lamha sazā kaaTī ga.ī thī jis kī ḳhātir
vo lamha to abhī ham ne guzāra hī nahīñ thā
vo ban kar chāñd tab utrā thā is dil kī zamīñ par
mohabbat kā jab āñkhoñ meñ sitāra hī nahīñ thā
varā-e-jism thā kuchh aur bhī us ke jilau meñ
faqat vo raushnī kā isti.āra hī nahīñ thā
junūñ ke paañv meñ chhan kaisī dar aa.ī ki maiñ ne
abhī vahshat ko sahrā meñ utārā hī nahīñ thā
Top Urdushayar.com