Arshad Jamal Sarim

be-aman hun in dinon main dar-ba-dar phirta hun main

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

be-amāñ huuñ in dinoñ maiñ dar-ba-dar phirtā huuñ maiñ
maiñ mavaddat huuñ vafā huuñ ḳhair kā jazba huuñ maiñ
dil kī maujoñ meñ bapā kar ke talātum-ḳhezyāñ
apne andar kī zamīneñ kāTtā rahtā huuñ maiñ
khel hai sarkash havāoñ ke liye merā vajūd
kam-tanābī jis kī qismat hai vo ik ḳhema huuñ maiñ
hai mukammal vaqt ke sūraj pe merā inhisār
zindagī ke paañv se lipTā huā saaya huuñ maiñ
aisī hī be-chehragī chhā.ī huī hai shahr meñ
āp-apnā aks huuñ maiñ aap ā.īna huuñ maiñ
kab milegī mujh ko 'sārim' is aziyyat se najāt
zehn-o-dil kī kashmakash meñ raat din uljhā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com