Arshad Jamal Sarim

pyas har zarra-e-sahra ki bujhai gai hai

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

pyaas har zarra-e-sahrā kī bujhā.ī ga.ī hai
tab kahīñ jā ke mirī ābla-pā.ī ga.ī hai
qaid meñ rakkhī ga.ī hai kahīñ titlī koī
koī ḳhushbū kahīñ bāzār meñ laa.ī ga.ī hai
kyā bhalā apnī samā.at meñ ghule koī miThās
vaqt ke hoñToñ se kab talḳh-navā.ī ga.ī hai
kis kī tanvīr se jal uTThe basīrat ke charāġh
kis kī tasvīr ye āñkhoñ se lagā.ī ga.ī hai
ho ga.ī jā ke shafaq-rañgī-e-āfāq meñ zam
kaf-e-doshīza-e-dil se jo hinā.ī ga.ī hai
uTh ai barbād-e-tamannā kī na.ī ḳhvāb--kanīz
haram-e-chashm meñ phir raqs ko laa.ī ga.ī hai
vaqt aisā bhī to aayā hai junūñ par 'sārim'
nok-e-mizhgān se talvār uThā.ī ga.ī hai
Top Urdushayar.com