ye ḳhākī pairahan ik ism kī bandish meñ rahtā hai
zamāna har ghaḌī varna na.ī sāzish meñ rahtā hai
isī baa.is maiñ apnā nisf rakhtā huuñ añdhere meñ
mire atrāf bhī sūraj koī gardish meñ rahtā hai
maiñ ik parkār sā sayyār bhī huuñ aur sābit bhī
jahāñ saarā mire qadmoñ kī paimā.ish meñ rahtā hai
mirī āñkhoñ meñ ab hai maujzan bas ret vahshat kī
samundar ab kahāñ palkoñ kī har jumbish meñ rahtā hai
supurd-e-āb yuuñ hī to nahīñ kartā huuñ ḳhaak apnī
ajab miTTī ke ghulne kā mazā bārish meñ rahtā hai
tasallut hai kisī kā jab se apnī zaat par 'sārim'
hamārā dil bahut ārām-o-āsā.ish meñ rahtā hai