kahāñ kahāñ se sunā.ūñ tumheñ fasāna-e-shab
tavīl guzrā hai mujh par bahut zamāna-e-shab
mahak rahā hai hamīñ se harīm-e-gulshan-e-roz
hamīñ se nūr-fazā hai nigār-ḳhāna-e-shab
huā hai hukm ye min-jānib-e-shah-e-zulmāt
hudūd-e-shahr-e-siyah chhoḌ de dīvān-e-shab
ḳhamosh hote haiñ din ke tamām-tar sikke
khanaktā rahtā hai kashkol-e-dil meñ āna-e-shab
har ek shāḳh pe vīrāniyāñ musallat haiñ
badan-daraḳht bhī goyā hai āshiyān-e-shab
tamām yādeñ to aa baiThtī haiñ shām-Dhale
udaas rahtā hai phir kis liye sirhāna-e-shab
umiid ḳhaak rakhī jaa.e ab ujāloñ kī
charāġh auñdhe paḌe haiñ ba-āstāna-e-shab
halāl rizq mayassar ho kyā unheñ 'sārim'
ki jin parindoñ ko chugnā hai sirf dāna-e-shab