dil hai palkoñ meñ simaT aatā hai aañsū kī tarah
reshmī raat kī bhīgī huī ḳhushbū kī tarah
zindagī aaj hai yādoñ ke ta.āqub meñ ravāñ
ret ke Tīloñ pe gard-e-ram-e-āhū kī tarah
aan kī aan meñ tārīḳh badal jaatī hai
shikan-e-zulf kī sūrat ḳham-e-abru kī tarah
taulne ke liye phūloñ kī tarāzū bhī to ho
fikr o ehsās bhī tul jaate haiñ ḳhushbū kī tarah
shahr-e-afsos meñ apne haiñ na begāne haiñ
ab dil o jaañ ke bhī rishte haiñ man-o-tū kī tarah
bijliyāñ haiñ ki chamaktī haiñ rag-e-jāñ ke qarīb
jām-e-sahbā kī tarah halqa-e-gesū kī tarah
terī yādoñ kī kahānī to nahīñ hai 'tanvīr'
dil pe dastak jo diyā kartā hai ḳhushbū kī tarah