ajiib shaḳhs hai patthar se par banātā hai
dayār-e-sañg meñ shīsha kā ghar banātā hai
jo zaḳhm phuul kī pattī kā sah sakā na kabhī
us aabla ko vo apnī sipar banātā hai
fazā kā bojh samajhtā hai chāñd sūraj ko
vo gardanoñ pe sajāne ko sar banātā hai
jahāñ se qāfila-e-vaqt raah bhūlā thā
unhīñ sarāboñ meñ vo rah-guzar banātā hai
tarāshtā hai jigar vo bhī ābgīnoñ se
ḳhazaf ko kāsa-e-arz-e-hunar banātā hai
dil-o-nazar ke fusūñ us ko raas aa na sake
vo ā.inoñ se guzarne ko dar banātā hai
ye kis se kahiye ki 'tanvīr' ḳhud salīboñ ko
sukūn-e-jāñ ke liye ham-safar banātā hai