vo raqs kahāñ aur vo tab-o-tāb kahāñ hai
vo sajda-e-shauq aur vo mehrāb kahāñ hai
hai ābla-pā.ī hī tirā naqsh-e-kaf-e-pā
sahrā-e-laq-o-daq hai yahāñ aab kahāñ hai
aurāq-e-dil-o-jāñ meñ haiñ kuchh daaġh hī baaqī
vo ishq-o-aqīdat kā hasīñ baab kahāñ hai
ik ashk-e-nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
palkoñ pe sajāyā huā vo ḳhvāb kahāñ hai
ab durd-e-tah-e-jām hai yā tishna-labī hai
sahbā vo kahāñ sāġhar-e-mahtāb kahāñ hai
kyā TuuT ga.e aap hī shabnam ke vo dhāge
vo pyaar kā resham dil-e-betāb kahāñ hai
'tanvīr' rah-e-zīst meñ tanhā ye safar kyuuñ
vo lutf kahāñ pursish-e-ahbāb kahāñ hai