ye baat dasht-e-vafā kī nahīñ chaman kī hai
chaman kī baat bhī zaḳhmoñ ke pairahan kī hai
havā-e-shahr bahut ajnabī sahī lekin
ye us meñ bū-e-vafā terī anjuman kī hai
maiñ but-tarāsh huuñ patthar se kaam hai mujh ko
magar ye tarz-e-adā tere bāñkpan kī hai
lapak to sho.ala kī fitrat hai phir bhī kyā kiije
ki is meñ phuul sī rañgat tere badan kī hai
ye merī vādī-e-jāñ nāg-phan kā jañgal hai
ye ḳhushbuoñ kī ridā shāḳh-e-yāsman kī hai
mere junūñ kī sazā sañgsār honā hai
lahū lahū ye qabā kyuuñ nigār-e-fan kī hai
ye dil to sho.ala-e-afsurda hai magar 'tanvīr'
mirī ragoñ meñ tapish garmī-e-suḳhan kī hai