vahī jo raah kā patthar thā be-tarāsh bhī thā
vo ḳhasta-jāñ hī kabhī ā.īna-qimāsh bhī thā
lahū ke phuul rag-e-jāñ meñ jis se khilte the
vahī to shīsha-e-dil thā ki paash paash bhī thā
bikhar ga.ī haiñ jahāñ TuuT kar ye chaTTāneñ
yahīñ to phuul koī sāhib-e-farāsh bhī thā
uThā.e phirtā thā jis ko salīb kī sūrat
vahī vajūd to ḳhud us kī zinda laash bhī thā
palak jhapakne meñ kuchh ḳhvāb TuuT jaate haiñ
jo but-shikan hai vahī lamha but-tarāsh bhī thā
vo harf-e-nāz ki resham kā taar kahiye jise
vahī to dil ke liye ik hasīñ ḳharāsh bhī thā
adā-e-husn jise kahiye be-ruḳhī 'tanvīr'
usī kī tarz-e-taġhāful kā raaz faash bhī thā