zehn zinda hai magar apne savālāt ke saath
kitne uljhāo haiñ zanjīr-e-rivāyāt ke saath
kaun dekhegā yahāñ din ke ujāloñ kā sitam
ye sitāre to chale jā.eñge sab raat ke saath
jaane kis moḌ pe manzil kā pata bhuul ga.e
ham ki chalte hī rahe gardish-e-hālāt ke saath
vaqt kartā hai bhalā kis se yahāñ husn-e-sulūk
vo bhī is daur meñ qānūn-e-makāfāt ke saath
vo to ḳhanjar thā gale jis ne lagāyā ham ko
varna pesh aatā hai ab kaun mudārāt ke saath
hādse haiñ to unheñ pesh bhī aanā hai zarūr
vo bhī us shoḳh se taqrīb-e-mulāqāt ke saath
kaun suntā hai yahāñ dil kī kahānī 'tanvīr'
vo bhī ḳhushbūoñ ke mauhūm ishārāt ke saath