Tanveer Ahmad Alvi

fishaar-e-husn se aaghosh-e-tang mahke hai

Tanveer Ahmad Alvi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1927-2013
fishār-e-husn se āġhosh-e-tañg mahke hai
sabā ke lams se phūloñ kā rañg mahke hai
adā-e-nīm-nigāhī bhī kyā qayāmat hai
ki ban ke phuul vo zaḳhm-e-ḳhadañg mahke hai
ye vahshateñ bhī mirī ḳhushbuoñ kā hissa haiñ
ki mire ḳhuun se dāmān-e-sañg mahke hai
adā-e-nāz bhī hai husn-o-ihtizāz kī baat
ki tār-e-zulf nahīñ añg añg mahke hai
lahū ke phūloñ se ārāsta hai teġh-e-sitam
shafaq shafaq jo ye maqtal kā rañg mahke hai
charāġh-e-lāla se raushan huā hai dasht-e-vafā
havā-e-dil se ye naqsh-e-farañg mahke hai
shakar-laboñ ke tabassum kī baat kyā 'tanvīr'
nafas nafas meñ mai-e-lāla-rañg mahke hai
Top Urdushayar.com