kamand-e-halqa-e-guftār toḌ dī maiñ ne
ki mohr-e-dast-e-qalamkār toḌ dī maiñ ne
rivāyatoñ ko salīboñ se kar diyā āzād
yahī rasan to sar-e-dār toḌ dī maiñ ne
ye mere haath haiñ aur be-shanāḳht ab bhī nahīñ
ye aur baat hai talvār toḌ dī maiñ ne
safīne hī ko maiñ sho.ala dikhā ke niklā thā
jo apne haath se patvār toḌ dī maiñ ne
tahakkumāna adā aur faisle dil ke
kamān-e-ābru-e-ḳham-dār toḌ dī maiñ ne
girah girah jo kahīñ aur rishta rishta kahīñ
ye rasm-e-sub.ha-o-zunnār toḌ dī maiñ ne
vo dā.eroñ se jo bāhar na aa sake 'tanvīr'
vo rasm-e-gardish-e-parkār toḌ dī maiñ ne