lamha-dar-lamha guzartā hī chalā jaatā hai
vaqt ḳhushbū hai bikhartā hī chalā jaatā hai
ābgīnoñ kā shajar hai ki ye ehsās-e-vajūd
jab bikhartā hai bikhartā hī chalā jaatā hai
dil kā ye shahr-e-sadā aur ye hasīñ sannāTā
vādī-e-jāñ meñ utartā hī chalā jaatā hai
ab ye ashkoñ ke muraqqe haiñ ki samajhte haiñ nahīñ
naqsh patthar pe sañvartā hī chalā jaatā hai
ḳhuun kā rañg hai us pe bhī shafaq kī sūrat
ḳhāk-dar-ḳhāk nikhartā hī chalā jaatā hai
vāpsī kā ye safar kab se huā thā āġhāz
naqsh-e-pā jis kā ubhartā hī chalā jaatā hai
jaise 'tanvīr' ke hoñToñ pe likhī hai tārīḳh
zikr kartā hai to kartā hī chalā jaatā hai