dard kī lai ko baḌhā do ki maiñ zinda huuñ abhī
aur is dil ko dukhā do ki maiñ zinda huuñ abhī
mere ehsās kī ye baaḌh to rukne se rahī
mujh ko dīvāna banā do ki maiñ zinda huuñ abhī
karb-e-tanhā.ī kā nashtar rag-e-jāñ meñ rakh do
mujh ko ehsās dilā do ki maiñ zinda huuñ abhī
hausla jiine kā hotā hai par itnā bhī nahīñ
mujh ko is kī bhī sazā do ki maiñ zinda huuñ abhī
aarzū ek alamnāk kahānī hī sahī
phir se ik baar sunā do ki maiñ zinda huuñ abhī
saaya ban kar maiñ salīboñ se utar aayā huuñ
ab koī aur sazā do ki maiñ zinda huuñ abhī
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahtī hī rahegī 'tanvīr'
āḳhirī sham.a bujhā do ki maiñ zinda huuñ abhī