ḳhvāb to ḳhvāb hai ta.abīr badal jaatī hai
dil ke ā.īne meñ tasvīr badal jaatī hai
ab salīboñ pe kahāñ gul-shuda sham.oñ kī qatār
aan kī aan meñ tahrīr badal jaatī hai
sur to badle haiñ na badleñge magar vaqt ke saath
zulm ke haath meñ shamshīr badal jaatī hai
roz bantā hai koī aag ke tīroñ kā hadaf
ret par ḳhuun kī zanjīr badal jaatī hai
dil ke patthar kī lakīreñ to nahīñ miT saktīñ
kashish-e-zulf-e-girah-gīr badal jaatī hai
tinkā tinkā hai qafas bhī to nasheman kī tarah
haañ faqat hasrat-e-tāmīr badal jaatī hai
in havāoñ meñ ho dil kis kā nishāna 'tanvīr'
jab bhī dekho ravish-e-tīr badal jaatī hai