kyā zarūrī hai koī be-sabab āzār bhī ho
sañg apne liye shīshe kā talabgār bhī ho
dilbarī husn kā sheva hai magar kyā kiije
ab ye lāzim to nahīñ husn vafādār bhī ho
zaḳhm-e-jāñ vaqt ke kāñToñ se bhī sil saktā hai
kyā zarūrī hai ki resham kā koī taar bhī ho
fāsla rakhiye diloñ meñ magar itnā bhī nahīñ
darmiyāñ jaise koī āhanī dīvār bhī ho
do kināroñ kī tarah saath hī chalte rahiye
ab zarūrī to nahīñ koī sarokār bhī ho
koī is dard ke rishte ko nibhā.e kyuuñ kar
chārasāzī jo kare vo koī ġham-ḳhvār bhī ho
shīsha-e-jāñ ko bachāne kī ye koshish 'tanvīr'
shāyad is shahr-e-sitam ke liye bekār bhī ho