Tanveer Ahmad Alvi

bazm-e-jaan phir nigah-e-tauba-shikan mange hai

Tanveer Ahmad Alvi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1927-2013
bazm-e-jāñ phir nigah-e-tauba-shikan māñge hai
lams sho.ale kā to ḳhushbū kā badan māñge hai
qad-o-gesū kī sharī.at kā vo munkir bhī nahīñ
aur phir apne liye dār-o-rasan māñge hai
raqs-e-kākul ke tasavvur kī ye shīrīñ saa.at
shab ke phūloñ se mahaktā huā ban māñge hai
TūTte haiñ to bikhar jaate haiñ miTTī ke hurūf
zindagī jin se charāġhoñ kā chalan māñge hai
jis ko ghere hue rahte haiñ havāoñ ke hisār
sham-e-jāñ mujh se vahī dil kī lagan māñge hai
muskurāhaT vo ki phūloñ pe shakar barsāve
naaz us reshmī māthe pe shikan māñge hai
phuul afsāna bhī afsūñ bhī hai lekin 'tanvīr'
chashm-e-ḳhūñ-basta nayā tarz-e-suḳhan māñge hai
Top Urdushayar.com