Tanveer Ahmad Alvi

meri ghazal jo nae saz se ibarat hai

Tanveer Ahmad Alvi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1927-2013
mirī ġhazal jo na.e saaz se ibārat hai
mire nafas mirī āvāz se ibārat hai
khaTak rahā hai jo nashtar jarāhat-e-dil meñ
fareb-e-nargis-e-tannāz se ibārat hai
haqīqatoñ ko fasāna banā diyā jis ne
ye sehr bhī tire e.ajāz se ibārat hai
qafas bhī jaise darīcha hai dil ke zindāñ kā
nafas bhī lazzat-e-parvāz se ibārat hai
mire lahū kī ye gardish usī kā jaadū hai
ye harf-e-dil jo tire raaz se ibārat hai
jahān-o-jāñ kā sitam aarzū kā lutf-o-karam
tirī adā se tire naaz se ibārat hai
na aa sakā mire ash.ār meñ 'salīm' kā rañg
jo us ke munfarid andāz se ibārat hai
Top Urdushayar.com