Ibn-e-Safi

chhalakti aae ki apni talab se bhi kam aae

Ibn-e-Safi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1928-1980
chhalaktī aa.e ki apnī talab se bhī kam aa.e
hamāre sāmne saaqī ba-sāġhar-e-jam aa.e
faroġh-e-ātish-e-gul hī chaman kī ThanDak hai
sulagtī chīḳhtī rātoñ ko bhī to shabnam aa.e
bas ek ham hī liye jaa.eñ dars-e-ijz-o-niyāz
kabhī to akḌī huī gardanoñ meñ bhī ḳham aa.e
jo kārvāñ meñ rahe mīr-e-kārvāñ ke qarīb
na jaane kyuuñ vo palaT aa.e aur barham aa.e
nigār-e-sub.h se pūchheñge shab guzarne do
kī zulmatoñ se ulajh kar vo aa.ī yā ham aa.e
ajiib baat hai kīchaḌ meñ lahlahā.e kañval
phaTe purāne se jismoñ pe saj ke resham aa.e
masīh kaun bane saare haath ālūda
lahūluhān hai dhartī kahāñ se marham aa.e
Top Urdushayar.com