Ibn-e-Safi

aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

Ibn-e-Safi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1928-1980
aaj kī raat kaTegī kyuuñ kar saaz na jaam na to mehmān
sub.h talak kyā jāniye kyā ho aañkh lage yā jaa.e jaan
pichhlī raat kā sannāTā kahtā hai ab kyā ā.eñge
aql ye kahtī hai so jaao dil kahtā hai ek na maan
mulk-e-tarab ke rahne vaalo ye kaisī majbūrī hai
hoñToñ kī bastī meñ charāġhāñ dil ke nagar itne sunsān
un kī bāñhoñ ke halqe meñ ishq banā hai pīr-e-tarīq
ab aise meñ batāo yaaro kis jā kufr kidhar īmān
ham na kaheñge aap ke aage ro ro diide kho.e haiñ
aap ne biptā sun lī hamārī baḌā karam lākhoñ ehsān
Top Urdushayar.com