lab-o-ruḳhsār o jabīñ se miliye
jī nahīñ bhartā kahīñ se miliye
yuuñ na is dil ke makīñ se miliye
āsmāñ ban ke zamīñ se miliye
ghuT ke rah jaatī hai rusvā.ī tak
kyā kisī parda-nashīñ se miliye
kyuuñ haram meñ ye ḳhayāl aatā hai
ab kisī dushman-e-dīñ se miliye
jī na bahle ram-e-āhū se to phir
tā.er-e-sidra-nashīñ se miliye
bujh gayā dil to ḳharābī huī hai
phir kisī shola-jabīñ se miliye
vo koī hākim-e-daurāñ to nahīñ
mat Dareñ un kī nahīñ se miliye