rāh-e-talab meñ kaun kisī kā apne bhī begāne haiñ
chāñd se mukhḌe rashk-e-ġhazālāñ sab jaane pahchāne haiñ
tanhā.ī sī tanhā.ī hai kaise kaheñ kaise samjhā.eñ
chashm o lab-o-ruḳhsār kī tah meñ rūhoñ ke vīrāne haiñ
uf ye talāsh-e-husn-o-haqīqat kis jā Thahreñ jaa.eñ kahāñ
sehn-e-chaman meñ phuul khile haiñ sahrā meñ dīvāne haiñ
ham ko sahāre kyā raas aa.eñ apnā sahārā haiñ ham aap
ḳhud hī sahrā ḳhud hī divāne sham-e-nafas parvāne haiñ
bil-āḳhir thak haar ke yaaro ham ne bhī taslīm kiyā
apnī zaat se ishq hai sachchā baaqī sab afsāne haiñ