Hurmatul Ikaram

tai kiya is tarah safar tanha

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
tai kiyā is tarah safar tanhā
ek ham ek rahguzar tanhā
kaun hotā rafīq-e-tīra-shabī
dil jalāyā hai tā-sahar tanhā
ḳhairiyat pūchhne ko aa.ī hai
zindagī mujh ko dekh kar tanhā
āfat-e-jāñ hai vaz-e-ham-safarī
vaqt kī raah se guzar tanhā
dhaḌkanoñ kā bhī hai ajab andāz
dil kī vaadī hai kis qadar tanhā
na milā dard-āshnā koī
kaT gayā dard kā safar tanhā
dasht meñ apnī hī tajallī ke
jhilmilāyā kiyā qamar tanhā
sā.ateñ detī hī rahīñ āvāz
zindagī chal paḌī kidhar tanhā
qatl-gāh-e-vafā milī ḳhālī
'hurmat' aa.e hamīñ nazar tanhā
Top Urdushayar.com