jaise jaise dard kā pindār baḌhtā jaa.e hai
e'timād-e-lazzat-e-āzār baḌhtā jaa.e hai
dil umaDtā aa.e hai miTTī huī jaatī hai nam
zindagī par zindagī kā baar baḌhtā jaa.e hai
ye na pūchho dekhtā jaatā hai muḌ muḌ kar kise
ek dīvāna ki sū-e-dār baḌhtā jaa.e hai
kuchh na kuchh honā hai āḳhir tap ke kundan jal ke raakh
dil kī jānib sho.ala-e-afkār baḌhtā jaa.e hai
āgahī kā sadqa vājib hai uThāo jām-e-zahr
lamha lamha vaqt kā isrār baḌhtā jaa.e hai
saḳhtī-e-rāh-e-talab se dil laraztā hai magar
mujh se aage jazba-e-bedār baḌhtā jaa.e hai
rafta rafta soz-e-hirmāñ hotā jaatā hai fuzūñ
rafta rafta zindagī se pyaar baḌhtā jaa.e hai
ye jahān-e-āb-o-gil hai imtihāñ-gāh-e-shu.ūr
ġham ba-qadr-e-azmat-e-kirdār baḌhtā jaa.e hai
kyā ḳhabar 'hurmat' ki takmīl-e-safar ho kis tarah
iltifāt-e-vādī-e-pur-ḳhār baḌhtā jaa.e hai