Hurmatul Ikaram

uske siwa kya apni daulat

Hurmatul Ikaram

Mirzapur, Uttar pradesh, India

1928-1983
us ke sivā kyā apnī daulat
soz-e-tamannā dard-e-basīrat
apne alāva kaun milegā
kis se karne jaa.eñ adāvat
sikkoñ kā bāzār hai duniyā
miltī kyā ehsās kī qīmat
nāḳhun-e-daurāñ aur ġhazab thā
bhartā bhī kyā zaḳhm-e-farāsat
har dhaḌkan afsāna ban kar
khol rahī hai dil kī haqīqat
zaḳhmoñ phūloñ kī ye duniyā
dil kā jahannum aañkh kī jannat
kitne tajarbe ek tamannā
kitne ḳhvāb aur ek mohabbat
but-kada-e-fan terī ḳhātir
gaḌhtā huuñ taḳh.īl kī mūrat
karte 'hurmat' kī ġham-ḳhvārī
ġham ne kahāñ dī itnī mohlat
Top Urdushayar.com