dil-e-āzurda ko bahlā.e hue haiñ ham log
kitne ḳhvāboñ kī qasam khaa.e hue haiñ ham log
ek aalam ke harīf ek zamāne ke naqīb
jaise tārīḳh ke dohrā.e hue haiñ ham log
ek muddat huī ham DhūñDh rahe haiñ ḳhud ko
apnī āvāz ke bhaTkā.e hue haiñ ham log
jis ke sho.aloñ se numū pā.eñge kuchh phuul na.e
aag siine meñ vo dahkā.e hue haiñ ham log
jin se bedār huā lazzat-e-āzār kā zauq
choTeñ aisī bhī ka.ī khaa.e hue haiñ ham log
ek gutthī jo sulajh kar bhī na suljhī zinhār
us ko suljhā ke bhī uljhā.e hue haiñ ham log
hosh meñ rah ke bhī lāzim hai ki mad.hosh raheñ
raaz āñkhoñ kā tirī paa.e hue haiñ ham log
gardish-e-vaqt koī aur Thikānā batlā
mahfil-e-dost se uktā.e hue haiñ ham log
aañch aa.ī na kaḌī dhuup meñ lekin 'hurmat'
chāñdnī rātoñ ke suno laa.e hue haiñ ham log